Lyrics Na Tou But Kade Ki Talab Mujhe by Nusrat Fateh Ali Khan

The Legend Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Na Tou But Kade Ki Talab Mujhe [Lyrics]
Posted by Nusrat Collection 
Lyrics Na Tou But Kade Ki Talab Mujhe by Nusrat Fateh Ali Khan
[Video] [MP3] [Lyrics] [Translation] [Download]

Raaz-daaron Se Bach Ke Chalta Hoon
Gham-ghusaaron Se Bach Ke Chalta Hoon
Mujh Ko Dhoka Diya Sahaaron Ne,
Ab Sahaaron Se Bach Ke Chalta Hoon

Shab-e-Gham Ki Saher Nahin Hoti
Ho Bhi, Tau Mere Ghar Nahin Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Ja
Shab-e-Gham Mukhtasar Nahin Hoti

Main Ne Masoom Bahaaron Mein Tumhein Dekha Hai
Main Ne Poornoor Sitaaron Mein Tumhein Dekha Hai
Mere Mehboob Teri Pardanasheenin Ki Kasam,
Main Ne Ashqon Ki Qataaron Mein Tumhein Dekha Hai

But Bhi Eis Mein Rehte Thay
Dil Yaar Ka Bhi Kashana Tha
Ek Taraf Kaabe Ke Jalwe
Ek Taraf Butkhana Tha

Na To Butkade Ki Talab Mujhe
Na Haram Ke Dar Ki Talash Hai
Jahan Loot Gaya Hai Sukhoon-e-Dil
Ussi Rahaguzar Ki Talash Hai

Tu Haram Mein Jis Ko Hai Dhoondtha
Mujhe Woh Butkada Mein Mil Gaya
Tujhe Kya Malaal Hai Zahida?
Yeh Nazar Nazar Ki Talash Hai

Mujhe Sab Qubool Falak Magar
Gham-e-Dost Mujh Se Talab Na Kar
Isse Kaise Dil Se Judah Karoon?
Mere Umar Bhar Ki Talash Hai

Aye Qhabib Chod Yun Hi Mujhe
Main Mareez-e-Ishq Hoon La-Dawa

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Ishq Ki Chhot Ka Kuch Dil Pe Asar Ho Tau Sahi
Dard Kam Ho Ya Ziada Ho Magar Ho Tau Sahi

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Majnu Nazar Aati Hai, Laila Nazar Aata Hai
Vaishat Mein Har Ek Naqsha Ulta Nazar Aata Hai Dekho

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Wadi-e-Najad Se Pher Kar Jo Hawa Aati Hai
Qais Ke Rone Ki Ab Tak Yeh Sadaa Aati Hai Dekho

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Kaabe Bhi Gaye Hum, Na Gaya Par Buton Ka Ishq
Iss Rog Ki Khuda Ka Bhi Ghar Mein Dawa Nahin

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Kafir-e-Ishq Huye, Hamd-o-Sana Bhool Gaye
Naam-e-But Yaad Raha Naam-e-Khudah Bhool Gaye Dekho

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Naaz-o-Andaz Se Kehte Hai Ke Jeena Hoga
Zehar Dete Hai Tau Kehte Hai Ke Peena Hoga
Jab Main Peeta Hoon Tau Kehte Hai Ke Marta Bhi Nahin
Jab Main Marta Hoon Tau Kehte Hai Ke Jeena Hoga Dekho

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Ishq De Mahak Mein Gaya Main Ek Din.
Aageyo Ishq Ne Meri Badhiyai Thaglai
Main Gaya Si Ishq Tho Daadh Laine
Aageyo Ishq Ne Meri Dhanai Thaglai

Iss Ishq Ne Bade Bade Thaglai, 
Karu Baadshah Di Baadshahi Thaglai
Thain Ki Thageya Aashiq Zaara? 
Eis Ishq Ne Khuda Di Khudai Thaglai

Yeh Hai Ishq Ishq, Yeh Hai Ishq Ishq

Aye Qhabib Chod Yun Hi Mujhe
Mujhe Jis Ne Dard-e-Adaa Kiya 
Us Chaarahgar Ki Talash Hai


Na To Butkade Ki Talab Mujhe,
Na Haram Ke Dar Ki Talash Hai.
رازداروں سے بچ کے چلتا ہوں
غم گساروں سے بچ کے چلتا ہوں
مُجھ کو دھوکا دیا سہاروں نے
اب سہاروں سے بچ کے چلتا ہوں

شب غم کی سحر نہیں ہوتی
ہو بھی تو میرے گھر نہیں ہوتی
زندگی تو ہی مختصر ہو جا
شبِ غم تو مختصر نہیں ہو تی

میں معصوم بہاروں میں تمہیں دیکھا ہے
میں نے پُرنور ستاروں میں تمھیں دیکھا ہے
میرے محبوب تیری پردہ نشینی کی قسم
میں نے اشکوں کی قطاروں میں تمھیں دیکھا ہے

بُت بھی اس میں رہتے تھے
دلِ یار کا بھی کاشانہ تھا
اک طرف کعبے کے جلوے
اک طرف بت خانہ تھا

نہ تو بت کدے کی طلب مجھے
نہ حرم کے در کی تلاش ہے
جہاں لُٹ گیا ہے سکونِ دل
اُسی رہ گُزر کی تلاش ہے

تو حرم میں ہے جس کو ڈھونڈتا
مجھے بُت کدے میں وہ مل گیا
تجھے کیا ملال ہے زاہد
یہ نظر نظر کی تلاش ہے

مجھے سب قبول مگر فلک
غم یار مجھ سے طلب نہ کر
اِسے کیسے دل سے جدا کروں
میری عمر بھر کی تلاش ہے

اے قہبیب چھوڑ یوں ہی مجھے
میں مریضِ عشق ہوں لا دوا

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

عشق کی چوٹ کا کچھ دل پے اثر ہو تو سہی
درد کم ہو یہ زیادہ ہو مگر ہو تو سہی

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

مجھے نظر آتی ہے، لیلی نظر آتا ہے
وہشت میں ہراک نقشہ اُلٹانظر آتا ہے

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

وادی نجد سے پِھر کر جو ہوا آتی ہے
قیس کو رونے کی اب تک یہ صدا آتی ہے

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

کعبے بھی گئے ہم، نہ گیا پر بتوں کا عشق
اِس روگ کی خدا کے گھر میں بھی دوا نہیں

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

کافرِعشق ہوے، حمد و ثناء بھول گئے
نامِ بُت یاد رہا نامِ خدا بھول گئے

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

نازوانداز سے کہتے ہیں کہ جینا ہوگا
زہر دیتے ہیں تو کہتے ہیں کہ پینا ہو گا
جب میں پیتا ہوں تو کہتے ہیں کہ مرتا بھی نہیں
جب میں مرتا ہوں تو کہتے ہیں کہ جینا ہوگا

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

عشق دی مہک میں، گیا میں اک دن
اگوں عشق نے میری بڈھیائی ٹھگ لئی
میں گیا سی عشق کو داد لینے
اگوں عشق نے میری دھنائی ٹھگ لئی

اس عشق نے بڑے بڑے ٹھگ لئے
قاروں بادشاہ دی بادشاہی ٹھگ لئی
تھائیں کی ٹھگیا عاشق زارا
اس عشق نے خدا دی خدائی ٹھگ لئی

یہ ہے عشق عشق، یہ ہے عشق عشق

اے قحبیب چھوڑ یوں ہی مجھے
مجھے جس نے دردِ ادا کیا
اُس چارہ گر کی تلاش ہے

نہ تو بت کدے کی طلب مجھے
نہ حرم کے در کی تلاش ہے









Embed Code [Copy and Paste Code Where You Want]
Video
<script type="text/javascript"><!--
google_ad_client = "ca-pub-7105599396460731";
/* Nusrat Banner */
google_ad_slot = "1942697416";
google_ad_width = 468;
google_ad_height = 60;
//-->
</script>
<script src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/show_ads.js" type="text/javascript">
</script>
Tags:

Post a Comment

Previous Post Next Post