Lyrics Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai Ghazal by Nusrat Fateh Ali Khan

The Legend Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai  Dunia Se Bhi Door Huye [Lyrics]
Posted by Nusrat Collection 
Lyrics Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai Ghazal by Nusrat Fateh Ali Khan
[Video] [MP3] [Roman] [Gurmukhi] [Download]

Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai
Dunia Se Bhi Door Huye
Apni Ana Ke Saare Sheeshe
Aakhir Chakna-Choor Huye

Humne Jin Par Ghazlein Sochien
Unko Chaha Logoon Ne
Hum Kitne Badnaam Huye The
Woh Kitne Mashoor Huye

Tark-e-Wafa Ki Saari Qasmein
Unko Dekh Ke Toot Gai
Unka Naaz Salamat Thehra
Hum Hi Zara Majboor Huye

Ek Ghadi To Ruk Kar Poocha
Usne To Ahwaal Magar
Baki Umar Na Mud Kar Dekha
Hum Aise Magroor Huye

Ab Ke Unki Bazm Mein Jane Ka 
‘Mohsin’ Gar Izn Mile
Zakham Hi Unki Nazar Guzaarein
Ashq To Na-Manjoor Huye
Embed Code [Copy and Paste Code Where You Want]
Video
<script type="text/javascript"><!--
google_ad_client = "ca-pub-7105599396460731";
/* Nusrat Banner */
google_ad_slot = "1942697416";
google_ad_width = 468;
google_ad_height = 60;
//-->
</script>
<script src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/show_ads.js" type="text/javascript">
</script>
Tags:
Previous Post Next Post