The Legend Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Yeh Roz o Shab Ki Betabi [Lyrics]
Posted by Nusrat Collection
Yeh Roz o Shab Ki Betabi [Lyrics]
Posted by Nusrat Collection
Yeh Roz o Shab Ki Betabi
Simat Jate Nahi Kyun Fasle Shehr e Muhammad Kay
Yeh Roz o Shab Ki Betabi Yeh Lutf e Javidan Kia Hai
Bajuz Ishq e Nabi Meri In Aankhon Se Rawan Kia Hai
Simat Jate Nahi Kyun Fasle Shehr e Muhammad Kay
Main Aksar Sochta Rehta Hoon Akhir Darmiyan Kia Hai
Salamat Hai Abhi Tak Ashiyan, To Hai Karam Unka
Main To Nadaan Tha Danista Bhi kia Kia Na Kiya
Laaj Rakh Li Mere Lajpal Ne Ruswa Na Kiya
Dar e Hazoor Kisi Benawa Se Band Nahi
Khula Hi Rehta Hai Baab e Karam Ataa Kay Liye

Wagar-na Meri Himmat Ka Meri Taab o Tawa Kia Hai
Muyassar Ho Jise Apne Nabi Kay Naam Ki Rimjhim
Phir Uske Waaste Kali Ghata Ka Saybaan Kia Hai
Khule Hain Unki Azmat Ke 'Alam' Sidra Se Bhi Aagy
Zameen o Aasman Kia Hai Makaan o Lamakan Kia Hai