Lyrics Mangte Hai Karam Un Ka Sada Maang Rahe Hai Qawwali by Nusrat Fateh Ali Khan

The Legend Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Mangte Hai Karam Un Ka Sada Maang Rahe Hai [Qawwali]
Posted by Nusrat Collection 
Lyrics Mangte Hai Karam Un Ka Sada Maang Rahe Hai Qawwali by Nusrat Fateh Ali Khan
[Video] [MP3] [Lyrics] [Download]

Mangte Hain Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Din   Raat   Madinay  Ki   Dua   Maang   Rahay  Hein
Mangte Hain Unke Mangte Hein

Husan  Pay  Jin  Ke  Jag  Matwala
Naam   Hai   Jin  Ka  Qamli  Wala
Hum Unke  Mangte Hain Mangte Hain

Sanad     Joh     Rakhtay     Hein
Mehshar Mein Moo Dikhanay Ki
Hum Unke  Mangte Hain Mangte Hain

Naaz   Jiss   Baat   Pay   Hai
Woh Baat Yeah He Hai Ke
Hum Unke Mangte Hein Mangte Hein

Hum        Hain        Ghulaam
Un Ki Ghulami Pay Naaz Hai
Mangte Hein Unke Mangte Hein

Dozakh Nay Hum Ko Daikh Ke
Malik Say Kaha Ay Malik Chor
Unke Mangte Hein Unke Mangte Hein

Nigaah-e-Karam Say Hum Ko Na Daikh
Ay     Dozakh     Kia     Pata    Nahi    Ke
Hum Kiss Ke Mangte Hein Mangte Hein

Ay Daikhnay Waloon Hamein Hans Hans K Na Daikho
Kia   Pata   Nahi    Ke   Hum   Kiss   Ke   Mangte   Hein
Mangte Hein Unke Mangte Hein Mangte Hein

Mangte  Khaali  Haath  Na  Lotay,
Kitni   Mili   Khairat   Na   Poocho,
Unka Karam Phir Unka Karam Hai,
Unke   Karam   Ki  Baat   Na  Pocho
Unke Mangte Hein Unke Mangte Hein

Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Din  Raat  Madinay   Ki   Dua   Maang   Rahay  Hein

Kam Maang Rahay Hein Na Siva Maang Rahay Hein
Jaisa  Hai  Ghani,  Waise  Ataa  Maang  Rahay  Hein
Mangte Hein  Karam  Unka  Sada Maang Rahay Hein

Jaisa Hai Ghani
Aisa    Hai    Ghani    Woh    To    Aisa    Hai    Ghani
Khud Bheek De Aur Khud Kahe Mangte Ka Bhala Ho

Zara Unka Duniya Mein Rehna To Daikho
Woh Pathar Ka Tak'kia Aur Kaali Kamarya
Woh To Aisa Hai Ghani

Zamane Ka Data Magar Ghar Mein Faqa
Khudai  Ka   Malik   Magar   Pait  Khaali
Woh To Aisa Hai Ghani

Koi  Mere  Mehboob  Sa  Dunya  Mein  Nahi  Hai
Betha Hai Chata'ii Pay Magar Arsh-e-Nasheen Hai
Woh To Aisa Hai Ghani

Jaisa  Hai  Ghani  Waise  Ataa  Maang  Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Her   Naimat-e-Qonain   Hai   Daman   Mein   Hamare
Hum Sadqa-e-Mehboob-E-Khuda Maang Rahay Hein
Mangte  Hein  Karam  Unka  Sada  Maang  Rahay Hein

Yoon Kho Ga'ay  Sarkaar Ke Altaf-o-Karam Mein
Yeh Bhi To Nahi Hoosh Ke Kia Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Ey Dard-e-Mohabbat Abhi Kuch Aur Fusuun Ho
Dewanay  Tarapnay  Ki  Ada  Maang  Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Sirkar   Ka   Sadqa   Meri   Sarkar   Ka   Sadqa
Yeh Zameen Aasmaan Yeh Makaan LaMakaan
Meri Sarkaar Ka Sadqa

Dono Jahaan Ka Noor Mohammad Ke Roop Mein
Qur'an  Ka  Sha'oor  Mohammad  Ke  Roop  Mein
Allah  Ka   Zahoor   Mohammad   Ke   Roop  Mein

Such Hai Ke Yeh Taghayyur-e-Dunya Khuda Se Hai
Laikin   Yeh    Kainaat    Faqat    Mustafa    Say   Hai
Meri Sarkaar Ka Sadqa

Sirkaar   Ka   Sadqa   Meri   Sarkaar   Ka   Sadqa
Mohtaaj-e-Ghani Shah-e-Gada Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-e-Qounain
Ghum   Ke   Maarey   Hein,   Be-Sahare   Hein
Kuch   Bhi   Hein   Aaqa   Hum  Tumhare Hein

Ub  Laaj Tere Haath Hai Ey  Rehmat-e-Qounain
Madfan Ko Madinay Mein Jaga Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Asraar  Karam  Ke  Faqh  Un  Per  He  Khulay  Hein
Koi Data Bana, Koi Khuwaja Bana, Koi Ghous Bana,
Koi    Dehli     Mein      Ja      Ke      Nizami      Bana,
Koi     Ganj-e-Shakar     Ba     Khuda     Ho     Gaya

Asraar  Karam  Ke  Faqt  Un  Per  He  Khulay  Hein
Jo  Tere  Waseelay  Say  Dua  Maang   Rahay  Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Damaan-e-Amal  Mein   Koi   Neki   Nahi   Khalid
Bus Naat-e-Mohammad Ka Sila Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Din  Raat  Madinay  Ki  Dua  Maang  Rahay  Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka...
Embed Code [Copy and Paste Code Where You Want]
Video
<script type="text/javascript"><!--
google_ad_client = "ca-pub-7105599396460731";
/* Nusrat Banner */
google_ad_slot = "1942697416";
google_ad_width = 468;
google_ad_height = 60;
//-->
</script>
<script src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/show_ads.js" type="text/javascript">
</script>
Tags:
Previous Post Next Post