Lyrics Aap Baithe Hain Balin Peh Meri Ghazal by Nusrat Fateh Ali khan

The Legend Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Lyrics Aap Baithe Hain Balin Peh Meri [Lyrics]
Posted by Nusrat Collection 
Lyrics Aap Baithe Hain Balin Peh Meri Ghazal by Nusrat Fateh Ali khan
[Video] [MP3] [Lyrics] [Download]

Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai, Mohbbat Mouj Hai Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale, Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai

Aj Hum Nay Younhi Khushi Karli, Dil Jala Kar Hi Roshni Karli
Aaty Jaty Raha Karo Sahib, Aanay Janay Main Kyun Kami Kardi

Doob Kar Teri Neeli Ankhoon Main, Ghark Humne To Zindagi Karli
Ek  Fakat  Teri  Dosti  Ka  Liye,  Sari  Duniya  Say  Dushmani  Karli

Sar Jis Pe Na Jhuk Jaye, Ussay Dar Nahi Kehtay
Her Dar Pe Jo Jhuk Jaye, Ussay Sar Nhai Kehtay

Kya Tujh Ko  Jahan  Walay  Sitamgar  Nahi Kehtay
Kehtay Hongay Lakin Teray Mohn Pe Nahi Kehtay

Kabay Main Her Ek Sajaday Ko Kehtay Hain Ibadat
Maikhane  Main  Her Jaam  Ko  Sagar  Nahi  Kehtay

Kabay Main Muslman Ko Bhi Keh Daite Hain Kafir
Maikhane Main  Kafir  Ko  Bhi  Kafir  Nahi  Kehtay

Jo  Nazar  Aar  Paar  Ho  Jaye, Wohi  Dil  Ka Qaraar Hojaye
Apni Zulfoon Ka Daal Do Saya, Teergi Khushgawar Hojaye

Teri  Nazroon Ko  Daikh Paye  Agar, Shaikh  Bhi Maigusaar Hojaye
Tujh Ko Daikhe Jo Ek Nazar Foran, Chand Bhi Sharam Saar Hojaye

Aaina Apne Saamne Se Hata, Yeh Na Ho Khud Se Pyar Hojaye
Maut   Kiss   Tarha   Aye   Bali  Per,  Tu  Agar  Ek  Baar  Hojay

Aap  Baithe  Hain  Balin  Peh  Meri, Maut  Ka  Zoor  Chalta  Nahi Hai
Maut Mujh Ko Gawara Hai Lakin, Kya Karoon Dum Nikalta Nahi Hai

Yeh   Ada   Yeh   Nazakat   Brasil,   Mera   Dil    Tum   Pe   Qurban   Lakin
Kya Sambhalo Gay Tum Mery Dil Ko, Jab Yahan Anchal Sambhalta Nahi Hai

Mere Naloon Ki Sunn Kar Zubanain, Hoongay  Maum Kitni Chatanain
Mainne   Pighla   Diya   Pathroon   Ko, Ek Tera  Dil Pighalta Nahi Hai

Shaikh  Ji  Ke  Nasiyat  Bhi  Achi,  Baat   Waiz   Ki   Khoob  Lakin
Jab Bhi Chati Hai Kali Ghatayain, Bin Piyae Kaam Chalta Nahi Hai

Daikh Lay Meri Maiyat Ka Manzar, Loug Kahanda Badlatay Chalaya Hain
Ek   Teri    Bhi    Doli    Chali    hai,  Koi    Kahanda    Badlata    Nahi    Hai

Maikada Ke Sabhi Peenay Walay, Larkhara Kar Sambhlatay Hain Lakin
Teri  Nazroon Ka  Jo  Jaam Pee Le,  Umer Bhar Wo Sambhlata Nahi Hai

Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Maut Ka Zoor Chalta Nahi Hai 
Embed Code [Copy and Paste Code Where You Want]
Video
<script type="text/javascript"><!--
google_ad_client = "ca-pub-7105599396460731";
/* Nusrat Banner */
google_ad_slot = "1942697416";
google_ad_width = 468;
google_ad_height = 60;
//-->
</script>
<script src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/show_ads.js" type="text/javascript">
</script>
Tags:

Post a Comment

Previous Post Next Post